Posts

Showing posts from July, 2019

Basic Programming Concepts In Desi Way - Part 5 (Keywords)

Keywords: Keywords ka topic iss programming series ka sabse asaan topic hai. Keywords kafi hadd tak Syntax ke blog mein cover ho gaye hain. Lekin kuch important points reh gaye thay jinka batana zarori hai. Sabse pehle dekhte hain ke akhir Keyword hai kya cheez. Har programming language mein kuch special lafz hain jo uske different processes or functionality ko identify karte hain. For example: if ( $age >= 18 ) {    echo "You can vote"; } Iss example mein "if" aik keyword hain. Jab bhi hum kisi program mein "if" istemal karein gay, toh computer expect kare ga ke iske baad aik condition aaye gi jisko calculate karke faisla karna hai ke woh Sahi(True) hai ya Nahi(False) . Keywords ko hum Variable names mein use nahi kar sakte, kyunke iske computer confuse ho jata hai ke aap asal mein kaunsa kaam perform karna chahte hain. Sab programming languages ke kuch Keywords same hain aur kuch different. C Programming Language Keywords:...

Basic Programming Concepts In Desi Way - Part 4 (Data Types)

Data Types: Data Types ko samajhne se pehle apko Variables ka samajhna zarori hai. Behtar hai aap iss series ka Part 3 pehle parh lain. Hum samajhne ke liye Variables ko kapray dhonay ki baltiyaan soch sakte hain. In baltiyon mein hum kapray(data) store karte hain processing ke liye. Jaisay ke humare kapre mukhtalif kisam ke hota hain issi tarah data bhi mukhtalif kisam ka hota hai. Data ki inn mukhtalif kismo ko hum Data Types kehte hain. Ab mere jaisa zara bewakoof banda pochay ga ke "Mukhtalif data types ki akhir zarorat kiya hai?" Iss sawal ka jawab balti ke kapron mein chupa hai. Imagine karein, apke paas mukhtalif tarah ke kapray hain. For example, sweaters, fancy kapray aur cotton (kalaf walay) kapray. Inn sab mukhtalif kapron ko dhonay ke tarikay bhi aik dosre se farq hain. Iss liye humein chahiye aik balti mein aik hi kisam ke kapray daalain. Matlab, aik balti mein sirf sweaters, aik mein fancy kapray aur aik balti mein cotton walay kapray. Bilkul iss...