Posts

Showing posts with the label Basic Concepts

Basic Programming Concepts In Desi Way - Part 2 (Syntax)

Basic Syntax: Programmers kuch lafz buhat istemal karte hain. Un mein se aik lafz "Syntax" hai. Asan lafzon mein woh basic zahiri tarteeb jo program likhne ke liye zarori hai.  Dunya ki har zuban ka koi syntax zaror hota hai. Jaisay ke Urdu mein koi jumla bananay ke liye lafzon ko aik khaas tarteeb mein likhna hota hai takay unka koi matlab nikle. Aap Syntax ko aik kisam grammer keh sakte hain. Example 1: "Babar aik acha aur zaheen larka hai."  Upar diye gaye jumlay ko ap asani se samajh sakte hain aur iska matlab bhi bilkul saaf hai. Agar issi jumlay ki tarteeb hum change kar dain toh iska matlab hi samajhna mushkil ho jaye ga. "Acha Babar aik hai aur larka zaheen." Chalain aik aur Urdu ki misaal laitay hain, hum har jumla khatam karne ke liye nukta(full stop) lagate hain. Issay yeh faida hota hai ke jo koi bhi yeh jumla parhay aur Urdu jaanta ho woh samajh jaye ke kahan jumla khatam ho raha hai. Bilkul issi tarah Programming mein ...

Basic Programming Concepts In Desi Way - Part 1

Programming ke kuch basic concepts hain jo almost sab programming languages mein same hain. Inko samajh ke properly istamal karna hi programming hai. Ap keh sakte hain ke yeh programming ki ABC hai. Basic Syntax Variables Data Types Keywords Basic Operators Decision Making Loops Functions Please yeh list dekh kar ghabrana nahi, main iss list ko halwa bana kar khilaon ga takay programming seekh jayein aur maza bhi aaye.