Basic Programming Concepts In Desi Way - Part 3 (Variables)
Variables: Chalain aaj hum mil kar kuch kapray(clothes) dhotay hain. Nahi nahin programming nay mujhe pagal nahi kiya aur hum Variables hi sheekhain gay lekin kapray dhoonay ke style mein. Imagine karain aaj humari kapray dhonay ki bari hai. Aur upar se zulm yeh ke humein sirf apne nahi balke puray ghar ke kapre dhonay hain, Sach mein sabke, Abu, Ammi aur Badi Behen. Wowww! Iske ilawa inn sabke kapre dhonay ka tariqa bhi aik dosray se farq hai. Abu: (Abu ke kapray iss tarteeb se dhonay hain) 1) Kapre garam pani mein detergent ke saath 15 mins tak rakhein 2) Washing Machine mein dhoyein 3) Dryer mein sokhayein Ammi: 1) Kapre garam pani mein detergent ke saath 15 mins tak rakhein 2) Haath se dhoyein 3) Beghair dryer ke bahar sokhayein ke liye daal dain Badi behen: 1) Kapre Washing Machine mein dhoyein 2) Dryer mein sokhayein Haan aap log sahi samjhay mere ghar walay kuch zyada hi different hain. ...