Posts

Showing posts with the label Beginner

Basic Programming Concepts In Desi Way - Part 5 (Keywords)

Keywords: Keywords ka topic iss programming series ka sabse asaan topic hai. Keywords kafi hadd tak Syntax ke blog mein cover ho gaye hain. Lekin kuch important points reh gaye thay jinka batana zarori hai. Sabse pehle dekhte hain ke akhir Keyword hai kya cheez. Har programming language mein kuch special lafz hain jo uske different processes or functionality ko identify karte hain. For example: if ( $age >= 18 ) {    echo "You can vote"; } Iss example mein "if" aik keyword hain. Jab bhi hum kisi program mein "if" istemal karein gay, toh computer expect kare ga ke iske baad aik condition aaye gi jisko calculate karke faisla karna hai ke woh Sahi(True) hai ya Nahi(False) . Keywords ko hum Variable names mein use nahi kar sakte, kyunke iske computer confuse ho jata hai ke aap asal mein kaunsa kaam perform karna chahte hain. Sab programming languages ke kuch Keywords same hain aur kuch different. C Programming Language Keywords:...

Basic Programming Concepts In Desi Way - Part 4 (Data Types)

Data Types: Data Types ko samajhne se pehle apko Variables ka samajhna zarori hai. Behtar hai aap iss series ka Part 3 pehle parh lain. Hum samajhne ke liye Variables ko kapray dhonay ki baltiyaan soch sakte hain. In baltiyon mein hum kapray(data) store karte hain processing ke liye. Jaisay ke humare kapre mukhtalif kisam ke hota hain issi tarah data bhi mukhtalif kisam ka hota hai. Data ki inn mukhtalif kismo ko hum Data Types kehte hain. Ab mere jaisa zara bewakoof banda pochay ga ke "Mukhtalif data types ki akhir zarorat kiya hai?" Iss sawal ka jawab balti ke kapron mein chupa hai. Imagine karein, apke paas mukhtalif tarah ke kapray hain. For example, sweaters, fancy kapray aur cotton (kalaf walay) kapray. Inn sab mukhtalif kapron ko dhonay ke tarikay bhi aik dosre se farq hain. Iss liye humein chahiye aik balti mein aik hi kisam ke kapray daalain. Matlab, aik balti mein sirf sweaters, aik mein fancy kapray aur aik balti mein cotton walay kapray. Bilkul iss...

Basic Programming Concepts In Desi Way - Part 3 (Variables)

Variables: Chalain aaj hum mil kar kuch kapray(clothes) dhotay hain. Nahi nahin programming nay mujhe pagal nahi kiya aur hum  Variables hi sheekhain gay lekin kapray dhoonay ke style mein. Imagine karain aaj humari kapray dhonay ki bari hai. Aur upar se zulm yeh ke humein sirf apne nahi balke puray ghar ke kapre dhonay hain, Sach mein sabke, Abu, Ammi aur Badi Behen. Wowww! Iske ilawa inn sabke kapre dhonay ka tariqa bhi aik dosray se farq hai.  Abu: (Abu ke kapray iss tarteeb se dhonay hain)   1) Kapre garam pani mein detergent ke saath 15 mins tak rakhein   2) Washing Machine mein dhoyein   3) Dryer mein sokhayein Ammi:   1) Kapre garam pani mein detergent ke saath 15 mins tak rakhein   2) Haath se dhoyein   3) Beghair dryer ke bahar sokhayein ke liye daal dain Badi behen:   1) Kapre Washing Machine mein dhoyein   2) Dryer mein sokhayein Haan aap log sahi samjhay mere ghar walay kuch zyada hi different hain. ...

Basic Programming Concepts In Desi Way - Part 2 (Syntax)

Basic Syntax: Programmers kuch lafz buhat istemal karte hain. Un mein se aik lafz "Syntax" hai. Asan lafzon mein woh basic zahiri tarteeb jo program likhne ke liye zarori hai.  Dunya ki har zuban ka koi syntax zaror hota hai. Jaisay ke Urdu mein koi jumla bananay ke liye lafzon ko aik khaas tarteeb mein likhna hota hai takay unka koi matlab nikle. Aap Syntax ko aik kisam grammer keh sakte hain. Example 1: "Babar aik acha aur zaheen larka hai."  Upar diye gaye jumlay ko ap asani se samajh sakte hain aur iska matlab bhi bilkul saaf hai. Agar issi jumlay ki tarteeb hum change kar dain toh iska matlab hi samajhna mushkil ho jaye ga. "Acha Babar aik hai aur larka zaheen." Chalain aik aur Urdu ki misaal laitay hain, hum har jumla khatam karne ke liye nukta(full stop) lagate hain. Issay yeh faida hota hai ke jo koi bhi yeh jumla parhay aur Urdu jaanta ho woh samajh jaye ke kahan jumla khatam ho raha hai. Bilkul issi tarah Programming mein ...